Skip to main content

Posts

Na shukr Insan[hadees e qudsia]Roman english

Farzand e Adam ! Jo dunya ka hareez hojaega wo mujhse( Allah )door hojaega, or dunya me pareshani or aqirat me mashaqat ke alawa kuch na pa sakega or parwardigar bhi us ke dil par esa ranj musallat kardega jo kabhi khatm na hoga,or esi faqeeri dedega ke kabhi be niyazi hasil nahi kar sakega,or esi umeed me mubtela hojaega jis ka mud'ah kabhi hasil na hosake. Farzand e Adam as! Teri umr rozana  kam hoti jarahi hai or tujhe qabr bhi nahi horahi hai or tera rizq rozana araha hai or tu shukr e khuda bhi nahi kar raha hai. Na to qaleel se qa'naat karta hai or na kaseer  se shikam sair hota hai. Farzand e Adam as! Jab koi  naya din ata hai to terey pass mere tarf se Naya rizq bhi ajata hai. Magar jab koi raat ati hai to Farishte teri taraf teri buraiyoun ka  daftar lekar ajate  hai. Tu mera hi rizq khata hai or meri hi na farmani karta hai. Magar uske baad bhi jab tu dua karta hai to me qubool kar leta hoon.- Mera khair teri taraf ar...
Recent posts

4 chizey jo kisi qoum ko barbad kar sakti hai[Roman english]

Qoum ki barbadi ke 4 amal. Ustaad Mutahari ra ne Qoumi barbadi or tabahi balki neest o naboodi ke jin awamil ko bayan farmaya hai wo ye hain: 1.Zulm 2.Aqlaqi fasad 3.Tafreqa baazi 4.Amr bil Maroof wa  Nahi anil Munkir ka fiqdan  Zulm Tabqa samaj me Aaish or Asaan zindagi  or tan parori naiz nafsani khwahishaat ki takmeel ke leye kisi bhi had tak jasakta hai or is raah me ha'il  hone wala har shaqs ya nizaam ko apna jaani dushman  samjhta hai  lihaza is  rukawat ko door karne ke leye wo zulm ka sahara  lene se nahi hichkichata hai. Or zalim to apni Aaish hi ke peeche pade rahe hai or ye sab ke sab mujrim the. 16:11 Haq or Adl o insaaf ke muqable me nuqta ya lafz ko istemal  kiya jata hai  wo zulm hai- Is zulm ki wajah se ek samaj me adl o insaf  or adlana qanoon ka khatma hojata hai or Qurani mantiq ki rooh se amwat(mout) ki halakat yaqini  hojati hai. Imam Ali as Nehjul Balagah me farmate h...

Lamha e Fikr [Roman english]

Irshad e Ilahi hota hai ki  mujhe us shaqs par ta'jub hota hai jo mout ka yaqeen rakhta hai ke wo khush  kis tarh hota hai? Or jo hisab ka yaqeen rakhta hai wo maal kyu jama karta hai? Or jo Qabr ka yaqeen rakhta hai wo  hansta kis tarh se hai?  Or jo Dunya ke zawal ka yaqeen rakhta hai wo  isse mut'maeen   kis tarh hota hai? Or jo Aqirat or  ki baqa or nee'matoun  ka yaqeen rakhta hai wo araam kis tarh karta hai? Mujhe us shaqs se bhi ta'jub hai jo Zaban ka Alim hota hai Or Dil ka jahil hota hai. Ya badan ko pani se paak karleta hai or Dil ko Iqlas ke zariye paak nahi karta. Ya logoun ke Aaib talash karne me masroof rehta hai  or apne Aiboun ki tarf gafil hojata hai. Ya ye janta hai ke allah usey dekhraha hai or phir bhi gunah kar raha hai. Ya use maloom hai ke tanha marna hai, Tanha qabr  me rehna hai or tanha manzil e hisab me khada hona hai . Wo lo...

Nabiyoun ki ghaibat [hazrat e Saleh as] ki ghaibat [ROMAN ENGLISH]

Motabar asnaad ke sath  Imam e Sadiq  as se riwayat naql ki gai ki ap ne  farmaya:  Ke Saleh as  apni qoum se ek arze tak ghaib rahe or jis din wo un se ghaib hue wo  adhadh umr ke,kushada pait wale,haseen badan wale,ghani dadhi wale,nazuk aariz ke malik or darmiyani qad ke the jab ap as apni qoam me wapas agai to unhone ne chehre se unhein nahi pehchana. Or Ap as ne unhe 3 groh me taqseem paya . Ek groh munkir banchuka tha jo apne inkar se wapas loutne ko  tayyar nahi tha, Or ek unpar shak karne waloun ka tha, Or teesra groh  wo apne emaan par qaim tha . Bas Aap as ne  shak karne wali groh ki taraf rujoo kiya or unse farmaya: Me Saleh as hoon. To unhone apko jhutladeya or bura bhala kaha; or jhedak deya or kehne lage Khuda tumse bezar ho Saleh as  to  tum yaqinan tumse muqtalif chehre  ke hamil the. Imam sadiq as farmate hai ;Saleh as munkireen ke pass gai or unhone apki ek baat nahi suni or...

IMAM MAHDI AS KI VILADATH KA MUKAMIL WAQEYA[ROMAN ENGLISH]

وَقُلْ جَاءَ الْحَقُّ وَزَهَقَ الْبَاطِلُ إِنَّ الْبَاطِلَ كَانَ زَهُوقًا Bani israel 81 15 sha'baan (255h) Azaan e subh ke waqt Iraq ke shehar Samarrah  me aap as ki viladath hui. Us waqt Motamid abbas la Khalifa tha-us ne riwayatoun ki zubani ye  suna tha ke Hazrat e Imam Hassan al Askari as  ka farzand Imam as  hai jo dunya ko Adl o Insaaf se bhar dega  or tamam zalim hukmaranoun  ki besaat hukumat semeet kar rakh dega. Is bina par  wo mukhtalif unwaan se Hazrat Imam Hassan al Askari as ke ghar jasoos bheja karta tha take  inke farzand   tak is ki rasai hosake or Firoun or namrood la ki tarh us ko qatl kardale lekin khuda  ka irada har ik ki koshish o fikr  par galib rehta hai. Lihaza khuda wand Aalam ke hukm se Janab e Ibraheem as or Janab e Moosa as ki tarh Imam Mahdi as ke hamal ke asaar in ki walida Janab E Narjis khatoon as ki yahaan hazir nahi hui or poshida tour se viladath hui....