Aqlaq ki bunyad emaan , khoof e khuda, deen, or aqida hai,
jab deen ki halath kharab ho tab aqlaqiyat ka kya poochna?-
jaha log jism or chehre ki sajawat me lage hoon
sari fikr esi ek baat par markaz ho waha dil ki dunya par kon tawajjoh dey
or kon isko banai or sanware
log zaban se ek dusre se nazdeek hai or dil se ek dusre se door hai
dunya is qadr logoun ke nazroun me mehboob hogai hai ke bas-
jiski bina par haya iffat ,paak damani, zabaan or bayan ki sharafat, badoun ka ehteram, chotoun par reham
hamsaya ka qayal seley rehm
or eske taqaze ek ek karke isey ruqsat ho chuke hai
is waqt wo tufaan e badtamizi hai
ke allah ki panaah
jab tak social media is qadr aam nahi hua tha us waqt tak badd aqlaqi
badd zubanniya ek mehdood daire me thi,
is waqt social media ne qayamat barpa kar rakhi hai
ek bad aqlaqi ek badzubani ek tauheen ek ilzaam ek tohmat ek lamhe me phail jati hai kya se kya hojata hai-







Comments